Maa

Maa





Mujhe yaad nahi , which was that day when I started thinking , 
till now my eyes are blinking.
Shayad 5th standard me tha jab pehle baar likha tha maine apne maa pe essay , 
Sochta tha , "Are maa bhi to insaan hi hai , auro ke jaise" .

Tujhe lagta tha na ,tera beta tujhe bhool gaya hai, tujhe yaad ni karta ,
maa aisa nahi hai ki mai tujhse pyaar ni karta hu , tere baare me nahi sochta hu ,
par kya karu , idhar udhar ke faltu chizo me uljha rehta hu.

Shayad Yaad hoga tujhe jab bachpan me mai shaam ko khel kar aata tha ,
tu kehte the "thanda pani mat pi , jukham hojaega , 
pehle haath muh dho le , nahi to bimaar par jaega " ,
maa tab tere baat , ansune kar data tha  kyuki pata nahi tha na , 
ki ek din aisa bhi aaega.

Maa aaj bhi shaam ko thaka-hara aata hu , par tu nahi hai paas na  
isliye mahine ke 15 din to bhukhe pet hi so jaata hu.😊

Maa , tujhe yaad hai jab tu mere liye khana banate the aur 
agar khana thanda hota tha to kaise mai chilla diya karta tha ,
kaafi arsa beet gaya , par aaj bhi waisa kuch khane ko nahi 
milta , jo baat tere un thande khane me hote the.

Tu kaha karte the na " Apne kapre sahi se rakh , 
wo saman waha pe nahi , samne jaakar rakh , 
pata nahi bara hoga to kya karega , 
apne pairo pe kis din khara rahega "

Lo maa , aaj mai apne pairo pe khara bhi hogaya aur bara bhi hogaya , par tu nahi hai aaj ye batane wali ki chize aaj bhi waise 
hi hai .

I'm sorry maa ,jo kabhi tujhse uchi aawaj me baat ki ho ,
I'm sorry jo kabhi aise hi poore din tujhse bina baat kiye 
gujare ho,
maa tujhse mai kitna pyaar karta hu , ye batane ke liye aaj
tu paas to nahi hai , aur sach kahu to ye batane layak
mere paas alfaaz bhi nahi hai.


Mom I always need your bleesings , and want to be surround ,
Par us din ka bahooot daar hai , jab tujhe apne aas paas khoju 
aur ek hi answer mile , 
"Stop man , its too late , No result is going to be found".
              
                                                                                                  -imdevanshukumar

Comments

  1. maa sbki jagah le sakti hai,,,but maa ki jagah koi ni le skta is duniya me...maa apne bcche ko usi samay se pyar krti h jb wo is duniya me aaya hua v ni hota h...or aaj kal ke bcche hote h ki do mahine ke hue pyar ke chlte apne maa ka pyar bhul jate h...

    ReplyDelete
  2. Its really so emotional yrrr😭😭nd too good lines i have ever seen on maa

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thankiuu so much πŸ’–your support means a lot

      Delete

Post a Comment

Popular Posts