Tum naa ! Jadu ho

Tum naa ! Jadu ho



Pehli dafa jab dekha tha ,
Sochne laga tha ki tum ek mantra ho ,
Jisse padh raha koi divya sadhu ho ,
Ab samjh aa raha hai , tum aur kuch nahi ,
Bass ek khubsruat jaadu ho..


Tumhare saath gujraa harr ek pal ,
Humara aaj , ya humara kal ,
Mere haatho me tumhara haath ,
Jaise kichar me khilta ek chota kamal..


Mera wo tumhare hotho ko bolte waqt dekhna ,
Mera wo tumhare  aakho ko , bina kahe padhna ,
Mera tumhe bina batae aakhe band karna,
Tumhare liye kuch ni par  meri tum jaan thi ,
Kabhi chorna matt , tum hissa nahi , 
humesha se meri pehchan thi..


Wo maa ka mere sapno me aana ,
Baree pyaar se tumhare bare me batana ,
Wo bhale mera khwaab tha
Par tabse wo meri pyaari maa ,
Aur mai unka jaan tha..


Bare maasumiyat se keh deti ho ,
Mai tumhari ni ho sakte ,
Kehkar thora bhi ni sheh deti ho ,
Tumhe to hazaaro milenge ,
Mere pyaar se bahoot badh kar karenge,
Parr mere imaandari ko tolna ,
Babu please mujhe kbhi mat chorna..


Naya saal aa raha hai ,
Mera pyaar hadd se upar badhne jaa raha hai ,
Naye saal me tumhare harr khwaahis poore karne ka wada hai ,
Haan bechaine hogi tumhe , 
parr tum khaas ho,
aur mera pyaar bhi jyada hai..


Bass ek gujaarish hai tumse ,
Kabhi ikraar ho to keh dena ,
Bahot jyada ishq hai tumse ,
Ye soch kar pyaar kar dena ,
Taa zindgi masumiyat wala ishq sada deta hu ,
Harr museebat ko khudpar lunga aisa wada deta hu..


Billi....                                                                                                                               -imdevanshukumar

Comments

Popular Posts